My Journey to AUO
Contributed by: Vikram Namdeo
Dated: 27th Feb, 2018
Main Awadh KHELadis ki team se Ultimate Frisbee khelta hu jo U.P. ki pehli ultimate frisbee team hai. Ahmedabad ne Ahmedabad Ultimate Open tournament organize kia tha jahan poore india ki best teams aayi thi and hamari team ka rank 34 tha. 24th Jan 2018, hamari team Ahmedabad ke liye travel kar rhi thi.
Hamari train ka time 11 pm tha but train late thi. Train ke intezaar mein hi thak gaye the. Thand ka mausam bhi tha. Subah 4 bje hamari train aayi aur ham sab log train mein bethe. Hamari team ka pehla match 26th Jan 7 am ko tha. Hamari train already 5 ghante chal rhi hai. Hamari sir and coach and Project KHEL founder Mr. Akshai Abraham ne Ahmedabad ke host se poocha ki kya hamari first match late ho sakta hai because hamari train late chal rha hai and by the time ham log nahi pahuch paayege. Fir ek good news mila ki time aage ho gaya hai, first match 7 am ki jagah 11 am hoga. Ham sab ke chehre mein smile thi. Toh hamari journey abhi khatm nahin hui thi, kuch ghante baad jab train ka status check kia toh pata chala ki train 5 ghante ki jagah 9 ghante late ho gayi hai. Fir hamare Sir ne baat kia ki kya firse time aage ho sakta hai because 9 ghante late ho gayi hai. Fir good news mila ki 11 am ki jagah 1 pm match hoga. Sab khush the ki ab time mei pahuch jaayege.
25th Jan ki evening around 6 pm fir status check kia and train firse 9 ki jagha 11 ghante late ho gayi hai. Hamare sir ne hamare jo baaki full time team members hai unse help liya ye pata karne ke liye ki ham log kaha utre ki ham log time se pahuch jaaye and jahan bhi utre waha se kaise jaaye. Bus se jaayege toh kitna time and paisa lagega, car karege toh kitna car karna hoga and kitna paise jaayega, kab tak pahuchege etc. 6 bje se 9 bje tak hamari team members pata karte rhe hai and unhone bataya ki godhara mein utarke car se jaayege toh hi time pe pahuch sakte hai. Ye ek rough plan tha because kya pata train late ho jaaye toh hamko aur kuch plan karna padega.
26th morning ham logo ne train ka status check kia and ham thoda khush hue because train jyada late nhi thi. Kyuki ham log late the toh humne decide kia ki Godhara mei utrege waha koi taxi karege aur Ahmedabad ke liye niklege. Ham log godhara around 9 am utre aur taxi dhoondhna shuru kia. Taxi wale logo se baat kia, kitne paise lenge uska baat kia etc. aur 7000 rupay mein hamare sir ne taxi book ki. Taxi ka wait ham log 1 ghante tak karte rahe. 10 bje ham log 2 taxi se Ahmedabad ke liye nikle aur 12:30 pm tak ham log ground pahuch gaye. Ham sab log bahut khush the ki time par pahuch gaye but thoda tired feel kar rhe the kyuki 40 hours ka journey ke baad ham sab log bahut thak gaye the.
Hamare first match start hua, thoda slow start hua and opposite team ne lead le liya tha lekin kuch time baad hamari team barabar mei aayi aur lead le liya and hamari team finally jeet gayi. Hamari team ke saare team members bahut khush the. Sabke chehre mein bahut badi si par un sab mei se jyada maine kisi aur ke chere mei sabse jayda badi wali khushi dekhi, wo the hamare Sir and Coach Mr. Akshai Abraham because unki mehnat and hard work ki wajah se hamne wo pehle match universal point pe jeeta and 7 mein se hamne 2 matches hare and 7 matches jeet.
Hamari rank 32 mein se 19 number pe aayi. 46 hours ka journey, 20 logo ki aane-jaane, khaane, rehne, taxi ka paisa, 3 hours team members ka help, inn sabke baad sir ke hard work ka success dikha. Uss time mujhe realize hua ki hard work will make you successful and now I have decided that I will play for India under 24 Ultimate Frisbee team and I will make it by doing hard work.